Dard Aur Sukoon – This poem delves into the sleepless hours of a restless heart grappling with pain and loss the lines reflect an intimate conversation between the self and sleep, where the heart yearns for solace but first but first seeks to embrace and let go of the wounds inflicted by a broken bond. A journey of healing, forgiveness, and self-acceptance unfolds through the verses.
DARD AUR SUKOON
Neend nigahon se door
Taktaki bandh mujhe dekh rahi hai,
Aj mausam badla h
Zara dil ka hal to dekh le.
Aj ek aur rishta toota hai
zara khud ko tham
Khud ko sambhal to le.
Aj phirse kisi apne ne dard diya hai
zara is dil ko do bol
bol, bahla to le.
Larazte hothon ki jumbish
zara tham jane de..
Sukun paa lene de
Neend muskura kar mujhse keh rahi hai
Thoda wqt aur le le
Ye zakham zara naya hai
Isko bhar jane de.
Tujhe aagosh me mai loongi zaroor
par is waqt ye aansu beh jane de.
Tere dil me bahut kuch bhara
Khud ko maaf kar,
isko nikal jane de..
Ye adna sa din tha
aur ye bhi beet gya hai.
Thoda waqt aur le
aur iske nishan mit jane de.
Jab dard hota hai,
to sukoon bhi ud jata hai.
Neend kya...
tumhara khud
wajood bhi kho jata hai...
Naseema Khatoon
DARD AUR SUKOON – EK BECHAIN RAAT KI KAHANI
Also read – SHORT POEM – MOHLAT
Check out my book ‘THE TREE AND THE WIND’ on Kindle
Please follow and like us: