Poem-Jab ye dil rota hai
Waqt ne baut kuch diya Bus ek hamdard ki kami reh gyi Jiske samne, dil ka haal kholne se pahle sochna na pade. Jiske samne main kuch bhi boloon wo judge na kare. Aas paas dekhoon to lagta hai na jane kitna kuch mila hai, Par khushiyaan batne ke liye to baut log hai zindagi me, Par gham kisse kahoon, ye sochna padta hai. Kitna akelapan mehsoos hota kabhi kabhi. Jis waqt ankhein nam hoti hai, aur dil zaar zaar rota hai. Us waqt dil talashta hai Kisi hamdard ko Jis par aitbar ho... Jiske samne tum apne kamzor lamho ko bita sako. Aur tumhe yakeen ho ki wo kabhi un kamzor lamho ka istemal nai karega. Jinse mohabbat hai mujhe, Unhe gham kaise pahuchaon Apne dil ka zakhm dikha kar unse kaise marham lagwaaon. Wo mujhe chahte hai. Mere chehre ki hasi Unki ankhon ki chamak hai. Unke bharam ko main kaise tod du. Kaise main unhe bta du ki main andar se toot rahi hoon. Kash waqt meharban ho jata aur ek hamdard mere naseeb kar deta. Jo sirf mujhe sunta, aur mere dard ko mehsoos karta. Jise jab bhi main yad karti Wo mere kareeb hota. Kabhi kabhi lgta hai Ekdum chup ho jao. Jo chal raha hai, use chlne doon Aur koi ummeed na lagao. Zindagi ka ye mod, bahut hi ajeeb hai Kisi naye shaks par, aitbar nahi hota Aur jinpe aitbar hota hai Unke pas waqt nahi hota. Par kya ye sirf meri kahani, ya... Is bhag daud ki duniya me sabki kahani hai. Jab kisi ke aansoo behte hai. Wo hamdard dhundhta hai. Jab use sahara chaiye To wo apne as pas dekhta hai, aur... Mehsoos krta hai ki sab daud rahe hain. Sabke chehre par thakan hai Sab pareshan hain. Phir wo sochta hai, akhir kyun pareshan kare unhe. Kyunki use bhi to mohabbat hai unse. Naseema Khatoon
Also, Read
10 SMALL CHANGES THAT IMPROVED THE QUALITY OF MY LIFE
POEM- JAB YE DIL ROTA HAI
Check out my book ‘THE TREE AND THE WIND’ on Kindle
Please follow and like us: