Mai Khwaab hoon!
Mai khwaab hoon! Mere wajood ki pahchan tumse hai. Khuli nigahon se jab tum mujhe dekhte ho, mere soye huye jism me rooh phoonk dete ho. Mai Khwaab hoon! Mai tere besabab muskurane ki wajah ban sakta hoon. Tum mujhe dekho, main tumhara aina ban skta hoon. Kadi dhoop me tujhe chalne ki himmat dunga. Jab kabhi ladkhaoge, sambhalne ki taqat dunga. Mai Khwaab hoon! Azmaish ki raat me diye ki tarah teri raah ko raushan krta jaonga. Naummedgi ko teri zindagi se rawana kar, ummeed ka se teri zindagi ko raushan kar dunga. Wo muskurahat jo pathreeli raah me kahi kho si gye thi. Us muskurahat ko teri zindagi me wapas la, teri ankho me namkeen chamak la dunga. Mai Khwaab hoon! Tu mujhe chhoo nai skta, par mai teri zindagi ka markaz bn skta hoon. Mai teri un khwahishon ka aks bn skta hoon, Jiske deedar ki talab me tu bdhta jayega. Main Khwaab hoon! Tu mere jism me rooh phook ke to dekh Main teri raah raushan kar dunga. Aj bhale hi tujhe bharosa na ho khud par, Mai yakeenan tujhe khud par yakeen dila dunga. Mai Khwaab hoon! Barish ki boond jis tarah zindagi deti hai, Mai teri zindagi me sukoon bhar dunga. Teri zindagi ke panne jo kabse band pade hai, Unhe khol, teri naye shaksiyat se tujhe mukhatib kra dunga. Tu jo khud ko adna sa smajh raha hai aj, Tu kya ban skta hai, iska ahsas kra dunga. Jo kabhi karne ka socha nahi tha tune, Mai uska agaaz kar, anjam dila dunga. Mai Khwaab hoon! Naseema Khatoon
Also, Read
MAI KHWAAB HOON!
Check out my book ‘THE TREE AND THE WIND’ on Kindle
Please follow and like us: